Spiritual Awareness

Vidura Neeti from Mahabharata

1.  Jo manushya gaali dene wale ko, apmaan karne wale ko kuch na kahe, sehen kar jaye to uska roka hua krodh, gaali dene wale ko aise hi jala daalta hai, uske punyon ko le leta hai. Sehen karne se humare punya bante hai or paap nasht hote hai.

(If some one hurts/speaks harsh words, then do not retaliate. One who forgives & does not react, takes away the good deeds of one who hurts.)

guru-veda-vyasa

2.  ‘Ek hota he lakshay (Aim) aur ek hai  ruchi (Interest). Hamara lakshay aur ruchi ek hi honi chahiye. Yadi hum kehte hain ki humara lakshay Bhagwan hain aur ruchi sansar me hai to apne lakshay ki aur tezi se nahi badh payenge. Ruchi badhane ke liye Sansar se vairagya hona avashyak hai. 

3. Vani ki visheshta- 

  • Bolne se na bolna acha hai, Maun rahen.
  • Bolna pade to satya bolen
  • Satya aur priye bolen
  • Satya, priye aur dharm ke anusar bolen

Sabse badiya hai Bhagwan ka naam bolen.

4. Manushya ka kartavya kya hai ?

  • Manonigrah- mann se na milna
  • Dhairya dharan karna
  • Satya dharmo ka palan karna

In kartavyo ka palan karte hue priya or apriy ko saman jaane. Jo pasand nahi hai wahan se dhyan hata len.

5. Manushyo me maha daridra kaun hai?

  • Jiski vani rukhi hai
  • Jiska swabhav kathor hai

Vo gareeb hai kyonki uske hriday me prem nahi hai.

6. Rosh (jalan,krodh) aur rukhi vani admi ki haddi, hriday aur pran ko sukha deti he.

(Angry & harsh words eats away a man’s health. His organs like heart, bones degrade & his life force reduces.)

Mahabharta- 36th Chapter (Vidura Neeti)
Hare Krishna !

3 responses on "Vidura Neeti from Mahabharata"

  1. Hey prabhu mukh se har samay aapka hi naam nikley. Shukrane Bhagwan ji

  2. Shukrane bhagwanji for helping us to walk in the right direction.

  3. Guru Bhagwan ke anant anant shukrane hain.

Leave a Reply to karuna gupta Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Skip to toolbar